Teri Umeed Tera Intezar Jab Se Hy By Faiz Ahmad Faiz

 

Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisi ka Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur Beqabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai…

Faiz Ahmad Faiz


Her Lehza Hy Momin Ki Nai Shaan

Har lehza hay momin ki nai shan nayee aan
Guftar main kirdar main, Allah ki burhan

Qahhari-o-Ghaffario Quddusio Jabroot
Yeh chaar anaasir hon toh banta hay musalman

Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-khaaki
Hay is ka nashaiman na Bukhara na badakhshaan

Yeh raaz kisi ko nahee maaloom k momin
Qari nazar ata hay haqeeqat main hay Qura-an

Qudrat kay maqasid ka Ayyar is kay iraday
Duniya main bhi maizan, Qayamat main bhi maizan

Jis sey Jigar-e-Lala main thandak ho woh shabnam
Dariaaon kay dil jis sey dehal jaayein woh toofan

Allama Iqbal R.A

 


Dil Mein ik Lehar See Uthi Hay Abhi

Dil mein ek laher si utthi hai abhi
Koi taaza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil mein
koi deewar si giri hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye chote bhi nayi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shehar ki be-charaagh galiyon mein
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

 

 

Nasir Kazmi

 

 


Ab Yeh Sochon To Bhanwar Zehan Mein Par Jatay Hain

Ab yeah sochoon to bhanwar zahan mein par jatay hain

kaisay chehray hain jo milte hain bichar jatay hain

Kion tere durd ko dien tuhmat-e-weerani-e-dil?

Zalzaloon mein to bharay shehar ujar jatay hain

Mousam-e-durd mein ik dil ko bachaoon kaisay???

Taiz andhi mein to khaimay bhi ukhar jatay hain

Soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath

chand chehroon ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shidat-e-ghum mein bhi zinda hoon to hairat kaisi???

Kuch diye tund hawaoon se bhi larde jatay hain

Wo bhi kia log hain “Mohsin” jo wafa ki khatir

Khud Tarasheeda asooloon pe bhi urd jatay hain

Mosin Naqvi