Silsilay Tor Gaya Woh Sabhi Jatay Jatay By Ahmad Faraz

 

Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay to marasim thay k aatay jatay..

Shikw e zulmat e shab sey to kahin behtar tha..
Apney hissay ki koi shamma jalatay jatay..

Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan’na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..

Jashan e Muqtal he na barpa huwa werna hum bhi
Pa Bajolan he sahe naachtay, gaatay jatay

Us ki woh jane usay pas e wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..

 

Ahmad Faraz

 


Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na Day By Bashir Badar

 

Khuda hum ko aisi khudai na day
Keh apnay siwa kuch dikhai na day

Khata war samjhay gi duniya tujhay
Ab itni ziyada safai na day

Hanso aaj itna keh is shor main
Sada siskiyon ki sunai na day

Ghulami ko barkat samjhnay lagay
Aseeron ko aisi rehai na day

Abhi to badan main laho hai bohat
Kalam cheen lay roshnai na day

Khuda aisay ehsaas ka naam hai
Rahay samnay aur dikhai na day

Dr. Basheer Badar


Hamesha Dair Ker Deta Hon By Muneer Niazi

 

Hamesha dair kar deta hoon main
har kaam karnay mein
Zaroori baat kehne ho
koi wada nibhana ho
Usay aawaz deni ho
usay wapis bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Madad karni ho us ki
yaar ke dhaarus bundhaana ho
Bohat dayreena rastoon par
kisi se milney jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Budaltay mausmon ke sair maein
dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho

Hamesha dair kar deta hoon main
Kisee ko maut se pehlay
kisi ghum se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch us ko
jaa kay yeh batana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
har kaam karnay mein

 

Muneer Niazi

 


Kahan Aa Ke Ruknay Thay Rastay By Amjad Islam Amjad

 

Kahan aa k ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barishein ksi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja

mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja

ksi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula dia tu bhi muskura usay bhool ja

kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya usay bhool ja

na wo ankh he teri ankh thi, na wo khawb he tera khawb tha
dil-e-mutazir tou ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja

ye jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi b mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja

jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja

 

Amjad Islam Amjad

 

 


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi By Parveen Shakir

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chaat Ka Os Pe Tera Jamal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta
Aik Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi

Dil To Chamak Sakey Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lein
Shishaa Garan-e-shehar Ke Hath Ka Yeh Kamal Bhi

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiyey Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Woh Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se Youn Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

Shaam Ki Na Samajh Hawa Poch Rahi Hai ik Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi

 

Parveen Shakir

 


Ik Bar Kaho Tum Meri Ho Ibn e Insha

Hum ghoom chukay basti bun main

Ik aas ki phaans liyay mun main

Koi sajan ho koi piyara ho

Koi deepak ho koi tara ho

Jab jeevan raat andhairee ho

aik baar kaho tum meri ho

(bun = jungle, deepak=lamp)

Jab sawan badal cha’ay hoon

Jab phagan phool khila’ay hoon

Jab chanda roop luTata ho

Jab sooraj dhoop nahata ho

Ya shaam nay bastee ghairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila hai

Kiyun goree ka dil maila hai

Hum kab tak peet kay dhokay main

Tum kab tak door jharokay main

Kab deed say dil ko sairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagd.ra sood Khasaray ka

Yeh kaaj naheen banjaray ka

Sab sona ropa lay ja’ay

Sab duniya, duniya lay ja’ay

Tum aik mujhay buhtairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

 

 

Poet = Ibn e Insha


Chhupaiy Dil Mein Ghamon Ka Jahan By Saghar Saddiqui

chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain
tumhari bazm mein hum be-zaban baithey hain

yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai k rahon ko chhaan baithey hain

fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithey hain

ab aur gardish-e-taqdir kya sataiy gi
luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain

woh ek lafz-e-mohabbat he dil ka dushman hai
jisey shariat-e-ehsas masn baithey hain

hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’
baraye had-e-yaqin-o-guman baithey hain

Saghar Saddiqui


Ab Yeh Sochon To Bhanwar Zehan Mein Par Jatay Hain

Ab yeah sochoon to bhanwar zahan mein par jatay hain

kaisay chehray hain jo milte hain bichar jatay hain

Kion tere durd ko dien tuhmat-e-weerani-e-dil?

Zalzaloon mein to bharay shehar ujar jatay hain

Mousam-e-durd mein ik dil ko bachaoon kaisay???

Taiz andhi mein to khaimay bhi ukhar jatay hain

Soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath

chand chehroon ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shidat-e-ghum mein bhi zinda hoon to hairat kaisi???

Kuch diye tund hawaoon se bhi larde jatay hain

Wo bhi kia log hain “Mohsin” jo wafa ki khatir

Khud Tarasheeda asooloon pe bhi urd jatay hain

Mosin Naqvi


Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera

Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera kion bujh gaya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia huwa awargi



Kal shab mujhe Be-shakal see awaz ne chunka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi


ik tu ke sadiyoon se mere humrah bhi humnawaz bhi
Ik mein ke tere naam se na-Ashna Awargi


Yeah durd ki tanhayian yeah dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi


Ik ajnabi jhonkay ne jab poocha mere ghum ka sabab

Sehra ki tapti rait per mein ne likha awargi


Le ab to dasht-e-shab ki sari wastien sonay lagien
Ab jagna ho ga humien kab tuk bata awargi


Kal raat tanha chand ko dekha tha mein ne Khawab mein
“Mohsin” Mujhe raas aye gi shayad sada awargi


Mohsin Naqvi


Log Kehtay Hain Mein Sharabi Hon

 

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan …
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon

Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha
Kisiko Dekhke Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara

Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon…