Ik Bar Kaho Tum Meri Ho Ibn e Insha

Hum ghoom chukay basti bun main

Ik aas ki phaans liyay mun main

Koi sajan ho koi piyara ho

Koi deepak ho koi tara ho

Jab jeevan raat andhairee ho

aik baar kaho tum meri ho

(bun = jungle, deepak=lamp)

Jab sawan badal cha’ay hoon

Jab phagan phool khila’ay hoon

Jab chanda roop luTata ho

Jab sooraj dhoop nahata ho

Ya shaam nay bastee ghairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila hai

Kiyun goree ka dil maila hai

Hum kab tak peet kay dhokay main

Tum kab tak door jharokay main

Kab deed say dil ko sairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagd.ra sood Khasaray ka

Yeh kaaj naheen banjaray ka

Sab sona ropa lay ja’ay

Sab duniya, duniya lay ja’ay

Tum aik mujhay buhtairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

 

 

Poet = Ibn e Insha