Har lehza hay momin ki nai shan nayee aan
Guftar main kirdar main, Allah ki burhan
Qahhari-o-Ghaffario Quddusio Jabroot
Yeh chaar anaasir hon toh banta hay musalman
Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-khaaki
Hay is ka nashaiman na Bukhara na badakhshaan
Yeh raaz kisi ko nahee maaloom k momin
Qari nazar ata hay haqeeqat main hay Qura-an
Qudrat kay maqasid ka Ayyar is kay iraday
Duniya main bhi maizan, Qayamat main bhi maizan
Jis sey Jigar-e-Lala main thandak ho woh shabnam
Dariaaon kay dil jis sey dehal jaayein woh toofan
Allama Iqbal R.A
