Silsilay Tor Gaya Woh Sabhi Jatay Jatay By Ahmad Faraz

 

Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay to marasim thay k aatay jatay..

Shikw e zulmat e shab sey to kahin behtar tha..
Apney hissay ki koi shamma jalatay jatay..

Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan’na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..

Jashan e Muqtal he na barpa huwa werna hum bhi
Pa Bajolan he sahe naachtay, gaatay jatay

Us ki woh jane usay pas e wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..

 

Ahmad Faraz

 


Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na Day By Bashir Badar

 

Khuda hum ko aisi khudai na day
Keh apnay siwa kuch dikhai na day

Khata war samjhay gi duniya tujhay
Ab itni ziyada safai na day

Hanso aaj itna keh is shor main
Sada siskiyon ki sunai na day

Ghulami ko barkat samjhnay lagay
Aseeron ko aisi rehai na day

Abhi to badan main laho hai bohat
Kalam cheen lay roshnai na day

Khuda aisay ehsaas ka naam hai
Rahay samnay aur dikhai na day

Dr. Basheer Badar


Ishq Kero To Yeh Bhi Socho By Noshi Gilani

 

Ishq Karo Tu Yah Bhi Socho Arz -e- Sawal Say Pehlay
Hijar Ki Puri Raat Aati Hay Subh -e- Wisaal Say Pehlay

Dil Ka Kaya Hay Dil Nay Kitnay Manzar Dekhay Lakin
Aankhain Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Say Pehlay

Kaar e Muhabbat Aik Safar Hy is mein Aa Jata Hay
Aik zawal Asaar Sa Rasta Baab e Kamaal Say Pehlay

Kis Nay Reit Urati Shab Main Aankhain Khol Kay Rakhin
Koi Ak Misaal To Do Na, Us Ki Misaal Say Pehlay

Ishq Mein Raisham Jesay Vaaday aur Khawabon Ka Rasta
Jitna Mumkin Ho Tay Ker Lein Gard e Malaal Say Pehlay

 

Noshi Gilani

 


Kahan Aa Ke Ruknay Thay Rastay By Amjad Islam Amjad

 

Kahan aa k ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barishein ksi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja

mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja

ksi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula dia tu bhi muskura usay bhool ja

kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya usay bhool ja

na wo ankh he teri ankh thi, na wo khawb he tera khawb tha
dil-e-mutazir tou ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja

ye jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi b mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja

jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja

 

Amjad Islam Amjad

 

 


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi By Parveen Shakir

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chaat Ka Os Pe Tera Jamal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta
Aik Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi

Dil To Chamak Sakey Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lein
Shishaa Garan-e-shehar Ke Hath Ka Yeh Kamal Bhi

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiyey Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Woh Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se Youn Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

Shaam Ki Na Samajh Hawa Poch Rahi Hai ik Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi

 

Parveen Shakir

 


Suna hai Log Usay Ankh bhar kay daikhtay hain….

 

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Us Kay Shaher Main Kuch Din Thehar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haloon Say
So Apnay Aap Ko Barbadd Kar Kay Dekhatay Hain

Suna Hai Dard Ke Gahak Hai Chash m Naaz Uski
So Ham Bhi Uski Gali Say Guzar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai Shaer o Shairy Say Shugaf
So Ham Bhi Mujazay Apnay Hunar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Bolay Tu Batoon Say Phool Jhartay Hain
Yah Baat Hai Tu Chalo Baat Kar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rahta Hai
Setaray Baam Falak Say Utar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Ko Usay Tetliyaan Satate Hain
Suna Hai Raat Ko Jugno Thaher Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Hshar Hain Uske Gaazal Se Aankhain
Suna Hai Usko Heran DashT Bhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Say Bhar Kar Hain Kaklain Uske
Suna Hai Shaam Ko Sayey Guzar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uske Seeyah Jashmage Qyamat Hai
So Usko Surma Frosh Aah Bhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Laboon Say Gulab Jaltay Hain
So Ham Bhi Bahar Pay Elzaam Dhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Aaina Timshaal Hai Jabeen Uski
Jo Saada Dil Hain Usay Ban Sanwar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Jab Say Hamayal Hain Uske Gardan Main
Mezaaj Or He Lal o Guhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Chash m Tasawer Say Dasht Imkaan Main
Palang Zaviyay Uske Qamer Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Badan Ke Tarash Ease Hai
Kah Phool Apni Qubaey Kutar Kay Dekhtay Hain

Bas Ak Negah Say Lutta Hai Qafla Dil Ka
So Rahzan Tamanna Bhi Dar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Shabastan Say Mutasel Hai Bahshat
Makeen Edhar Kay Bhi Jalway Udhar Kay Dekhtay Hain

Rukay Tu Gardeshain Uska Tawaf Karte Hain
Chalay Tu Usko Zamanay Thaher Kay Dekhtay Hain

Kesay Naseeb Kay Bay Pairhan Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar o Dewaar Ghar Kay Dekhtay Hain

Kahaniyaan He Sahi Sab Mubalgay He Sahi
Ager Wo Khowab Hai Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain

Ab Us Kay Shaher Main Theray Kay Kooch Kar Jain
Faraz Aao Setaray Safer Kay Dekhtay Hain

Abhi Kuch Or Karishmay Gazal Kay Dekhtay Hain
Faraz Ab Zara Lahja Bdal Kay Dekhtay Hain

Judaiyaan Tu Muqaddar Main Hain Pher Bhi Jaan -e- Safer
Kuch Or Door Zara Sath Chal Kay Dekhtay Hain

Rah Wafa Main Hareem Khayal Koee Tu Ho
So Apnay Aap Say Aagay Nekal Kay Dekhtay Hain

Tu Samnay Hai Tu Pher Yaqeen Kyun Nahi Aata
Yah Bar Bar Jo Aankhoon Ko Mal Kay Dekhtay Hain

Yah Koon Log Hai Mujood Teri Mahfil Main
Jo Lalchoon Say Tujhay , Mujh Ko Jal Kay Dekhtay Hain

Yah Qurb Kia Hai Kah Yak Jaan Howay Na Dorr Rahay
Hazaar Ak He Qalib Main Dhal Kay Dekhtay Hain

Na Tujh Ko Maat Hoee Na Mujh Ko Maat Hoee
So Ab Kay Dono He Chalain Bdal Kay Dekhtay Hain

Yah Koon Hai Sir Sahil Kay Dobanay Walay
Sumandaroon Ke Tahoon Say Uchal Kay Dekhtay Hain

Abhi Talak Na Kundan Howay Na Raakh Howay
Ham Apni Aag Main Har Rooz Jal Kay Dekhtay Hain

Bohat Deno Say Nahi Hai Kuch Uske Khair Khaber
Chalo Faraz Koaiy Yaar Chal Kay Dekhtay Hain

Ab Us Ke Shehar Mein Thehrein k Kooch Ker Jain
Faraz Aao, Sitaray Safar Ke Dekhtay Hain

 

Ahmad Faraz