Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay to marasim thay k aatay jatay..
Shikw e zulmat e shab sey to kahin behtar tha..
Apney hissay ki koi shamma jalatay jatay..
Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan’na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..
Jashan e Muqtal he na barpa huwa werna hum bhi
Pa Bajolan he sahe naachtay, gaatay jatay
Us ki woh jane usay pas e wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..
Ahmad Faraz
Related posts:
- Ab Yeh Sochon To Bhanwar Zehan Mein Par Jatay Hain
- Kahan Aa Ke Ruknay Thay Rastay By Amjad Islam Amjad
- Kuch To Hawa Bhi Sard Thi By Parveen Shakir

i love faraz and saghar and mohsin naqvi
Thanks dear