Silsilay Tor Gaya Woh Sabhi Jatay Jatay By Ahmad Faraz

 

Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay to marasim thay k aatay jatay..

Shikw e zulmat e shab sey to kahin behtar tha..
Apney hissay ki koi shamma jalatay jatay..

Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan’na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..

Jashan e Muqtal he na barpa huwa werna hum bhi
Pa Bajolan he sahe naachtay, gaatay jatay

Us ki woh jane usay pas e wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..

 

Ahmad Faraz

 


Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na Day By Bashir Badar

 

Khuda hum ko aisi khudai na day
Keh apnay siwa kuch dikhai na day

Khata war samjhay gi duniya tujhay
Ab itni ziyada safai na day

Hanso aaj itna keh is shor main
Sada siskiyon ki sunai na day

Ghulami ko barkat samjhnay lagay
Aseeron ko aisi rehai na day

Abhi to badan main laho hai bohat
Kalam cheen lay roshnai na day

Khuda aisay ehsaas ka naam hai
Rahay samnay aur dikhai na day

Dr. Basheer Badar


Hamesha Dair Ker Deta Hon By Muneer Niazi

 

Hamesha dair kar deta hoon main
har kaam karnay mein
Zaroori baat kehne ho
koi wada nibhana ho
Usay aawaz deni ho
usay wapis bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Madad karni ho us ki
yaar ke dhaarus bundhaana ho
Bohat dayreena rastoon par
kisi se milney jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Budaltay mausmon ke sair maein
dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho

Hamesha dair kar deta hoon main
Kisee ko maut se pehlay
kisi ghum se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch us ko
jaa kay yeh batana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
har kaam karnay mein

 

Muneer Niazi

 


Ishq Kero To Yeh Bhi Socho By Noshi Gilani

 

Ishq Karo Tu Yah Bhi Socho Arz -e- Sawal Say Pehlay
Hijar Ki Puri Raat Aati Hay Subh -e- Wisaal Say Pehlay

Dil Ka Kaya Hay Dil Nay Kitnay Manzar Dekhay Lakin
Aankhain Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Say Pehlay

Kaar e Muhabbat Aik Safar Hy is mein Aa Jata Hay
Aik zawal Asaar Sa Rasta Baab e Kamaal Say Pehlay

Kis Nay Reit Urati Shab Main Aankhain Khol Kay Rakhin
Koi Ak Misaal To Do Na, Us Ki Misaal Say Pehlay

Ishq Mein Raisham Jesay Vaaday aur Khawabon Ka Rasta
Jitna Mumkin Ho Tay Ker Lein Gard e Malaal Say Pehlay

 

Noshi Gilani

 


Kahan Aa Ke Ruknay Thay Rastay By Amjad Islam Amjad

 

Kahan aa k ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barishein ksi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja

mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja

ksi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula dia tu bhi muskura usay bhool ja

kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya usay bhool ja

na wo ankh he teri ankh thi, na wo khawb he tera khawb tha
dil-e-mutazir tou ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja

ye jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi b mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja

jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja

 

Amjad Islam Amjad

 

 


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi By Parveen Shakir

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chaat Ka Os Pe Tera Jamal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta
Aik Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi

Dil To Chamak Sakey Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lein
Shishaa Garan-e-shehar Ke Hath Ka Yeh Kamal Bhi

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiyey Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Woh Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se Youn Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

Shaam Ki Na Samajh Hawa Poch Rahi Hai ik Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi

 

Parveen Shakir

 


Ik Bar Kaho Tum Meri Ho Ibn e Insha

Hum ghoom chukay basti bun main

Ik aas ki phaans liyay mun main

Koi sajan ho koi piyara ho

Koi deepak ho koi tara ho

Jab jeevan raat andhairee ho

aik baar kaho tum meri ho

(bun = jungle, deepak=lamp)

Jab sawan badal cha’ay hoon

Jab phagan phool khila’ay hoon

Jab chanda roop luTata ho

Jab sooraj dhoop nahata ho

Ya shaam nay bastee ghairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila hai

Kiyun goree ka dil maila hai

Hum kab tak peet kay dhokay main

Tum kab tak door jharokay main

Kab deed say dil ko sairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagd.ra sood Khasaray ka

Yeh kaaj naheen banjaray ka

Sab sona ropa lay ja’ay

Sab duniya, duniya lay ja’ay

Tum aik mujhay buhtairee ho

Aik baar kaho tum meri ho

 

 

Poet = Ibn e Insha


Teri Umeed Tera Intezar Jab Se Hy By Faiz Ahmad Faiz

 

Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisi ka Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur Beqabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai…

Faiz Ahmad Faiz


Chhupaiy Dil Mein Ghamon Ka Jahan By Saghar Saddiqui

chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain
tumhari bazm mein hum be-zaban baithey hain

yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai k rahon ko chhaan baithey hain

fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithey hain

ab aur gardish-e-taqdir kya sataiy gi
luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain

woh ek lafz-e-mohabbat he dil ka dushman hai
jisey shariat-e-ehsas masn baithey hain

hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’
baraye had-e-yaqin-o-guman baithey hain

Saghar Saddiqui


Dastoor, Mein Nahe Manta By Habeeb Jalib


Roman Urdu

Deep jis ka mehellaat he main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Woh jo saaiy main har maslihat kay palay;

Aisay dastoor ko, Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta, Main naheen jaanta.

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,

Zulm ki baat ko, Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta, Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,

Iss khulay jhoot ko, Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta, Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?

Tum naheen charagar, Koi maanay magar,
Main naheen maanta, Main naheen jaanta.

English

The light which shines only in palaces
Burns up the joy of the people in the shadows
Derives its strength from others’ weakness
That kind of system, like dawn without light
I refuse to acknowledge, I refuse to accept

I am not afraid of execution,
Tell the world that I am the martyr
How can you frighten me with prison walls?
This overhanging doom, this night of ignorance,
I refuse to acknowledge, I refuse to accept

“Flowers are budding on branches”, that’s what you say,
“Every cup overflows”, that’s what you say,
“Wounds are healing themselves”, that’s what you say,
These bare-faces lies, this insult to the intelligence,
I refuse to acknowledge, I refuse to accept

For centuries you have all stolen our peace of mind
But your power over us is coming to an end
Why do you pretend you can cure pain?
Even if some claim that you’ve healed them,
I refuse to acknowledge, I refuse to accept

Habeeb Jalib