|
|||
|
"ye na thi hamari qismat k wisal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intzar hota tere wade par jiye ham to ye jan jhuth jana k khushi se mar na jate agar aitbar hota teri nazuki se jana k bandha tha ahdboda kabhi tu na tor sakta agar ustawar hota koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh koi charasaz hota, koi gamgusar hota rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib' tujhe ham wali samajhte, jo na badkhwar hota" |
![]() |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Her Ek Ko Qismat Par Ikhtiyar Ho Poet: JAAN-E-WASHMA | Washma | Personal Poetry | 11 | 02-10-2012 06:02 AM |
| Hamari Dosti ..!!! | ! Falak ! | US Designer's Club | 4 | 01-14-2012 06:10 PM |
| Aao Dekho Hamari ANkheen !! ** !! | DUA | Designed Urdu Poetry | 4 | 12-13-2011 04:09 PM |
| Sari Bhool Hamari Thi | Virdan | All Roman Urdu Poetry | 1 | 12-05-2011 12:21 PM |
| Achha hota | abu huraira | All Roman Urdu Poetry | 2 | 12-05-2011 12:14 PM |